YE KIS SHAHENSHAAHE WAALA
Ye kis shahenshaahe waala ki aamad aamad hai
Ye kaun se shahe baala ki aamad aamad hai
Ye aaj kya hai zamaane ne rang hai badla
Ye aaj kya hai ke aalam ka dhang hai badla
Rusul unhiñ ka to muzda sunaane aaye haiñ
Unhiñ ke aane ki khushiyaañ manaane aaye haiñ
Farishte aaj jo dhumeiñ machaane aaye haiñ
Unhiñ ke aane ki shaadi rachaane aaye haiñ
Falak ke hoor o malak geet gaane aaye haiñ
Ke do jahaañ meiñ ye danke bajaane aaye haiñ
Ye seedha raasta haq ka bataane aaye haiñ
Ye haq ke bandoñ ko haq se milaane aaye haiñ
Ye bhoole bichhdoñ ko raste pe laane aaye haiñ
Ye bhoole bhatkoñ ko haadi banaane aaye haiñ
Khuda e paak ke jalwe dikhaane aaye haiñ
Diloñ ko Noor ke buq’ae banaane aaye haiñ
Ye qaid o band e alam se chhudaane aaye haiñ
Lo muzda ho ke rihaayi dilaane aaye haiñ
Chamak se apni jahaañ jagmagaane aaye haiñ
Mahek se apni ye kuche basaane aaye haiñ
Naseem-e-faiz se gunche khilaane aaye haiñ
Karam ki apni bahaareiñ dikhaane aaye haiñ
Yahi to sote huwoñ ko jagaane aaye haiñ
Yahi to rote huwoñ ko hañsaane aaye haiñ
Ye kufr o shirk ki niweiñ hilaane aaye haiñ
Ye shirk o kufr ki tameereiñ dhaane aaye haiñ
Hazaar saal ki Roshan shuda bujhi aatish
Ye kufr o shirk ki aatish bujhaane aaye haiñ
Inheiñ khuda ne kiya apne mulk ka maalik
Inhiñ ke qabze meiñ rab ke Khazaane aaye haiñ
Jo chaahenge jise chaahenge ye usey denge
Kareem haiñ ye khazaane lutaane aaye haiñ
Maseeh e paak ne ajsaam e murda zinda kiye
Ye jaane jaañ dil o jaañ ko jilaane aaye haiñ
Rauf aise haiñ ye aur raheem haiñ itne
Ke girte padtoñ ko seeney lagaane aaye haiñ
Sunoge Laa na zabaane kareem se NOORI
Ye faiz o jood ke dariya bahaane aaye haiñ
Hum apni hasrat-e-dil ko mitaane aaye haiñ
Hum apne dil ki lagi ko bujhaane aaye haiñ
Kareem haiñ wo nigaahe karam se dekheiñge
Hai daag daag dil apna dikhaane aaye haiñ
Naseeb tera chamak utha dekh to NOORI
Arab ke chaand lahed ke sirhaane aaye haiñ
Post Views: 27