YA RASOOLALLAAH AAKAR DEKH LO
Ya Rasoolallaah aakar dekh lo
Ya Madine meiñ bulaakar dekh lo
Saikdoñ ke dil munawwar kar diye
Is taraf bhi aañkh uthaakar dekh lo
Kalma padhte ji utheiñ murde abhi
Jaan e Isa lab hilaakar dekh lo
Chhede jaate haiñ humeiñ munkar nakeer
Gor meiñ tashreef laakar dekh lo
Ye kabhi inkaar karte hi nahiñ
Be nawaao aazmaa kar dekh lo
Chaahe jo maango ataa farmaayenge
Na muraado haath uthaakar dekh lo
Sair e Jannat dekhna chaaho agar
Rauza e Anwar pe aakar dekh lo
Do jahaañ ki sarfaraazi ho naseeb
Un ke aage sar jhuka kar dekh lo
Is JAMEEL E QAADRI ko bhi Huzoor
Apne dar ka sag banaakar dekh lo
Post Views: 9