WOH HUSN HAI
Woh husn hai Aye Sayyid e Abraar Tumhara
Allah bhi hai Taalib e Deedaar Tumhara
Mehboob ho tum khaalik e kul Maalik e kul ke
Kyuñ khalq pe qabza na ho Sarkaar Tumhara
Allah ne banaaya tumheiñ kaunain ka Haakim
Aur rakha laqab Ahmed e Mukhtaar Tumhara
Bigde huwe sab kaam sañwar jaayeñ usi dum
Dil se koi gar naam ley ek baar Tumhara
Dil meiñ nahiñ kuchh is ke siwa aur tamanna
Allah dikha de hameiñ Darbaar Tumhara
Har dum hai tumheiñ apne gulaamoñ pe inaayat
Din raat ka ye kaar hai Sarkaar Tumhara
Be Maañge ataa karte haiñ man maani muraadeiñ
Dena hi gulaamoñ ko hai kirdaar Tumhara
Allah ne waada ye kiya hai Shab e Me’araaj
Dozakh meiñ rahega na Gunahgaar Tumhara
Kyun Aasiyo! gam se hai dil afgaar tumhara
Gamkhwaar tumhara hai wo dildaar Tumhara
Lo aaya wo haami wo madadgaar Tumhara
Beda huwa aye Ahle Sunan Paar Tumhara
Aye Aasiyo! Tum apne gunaahoñ se ye keh do
Sarkaar e Madina hai Khareedaar Tumhara
Ghabraaye gunahgaar to rehmat ne pukaara
Aye Aasiyo! aa pahuncha madadgaar Tumhara
Duniya meiñ qayaamat meiñ sar e pul pe lahed meiñ
Daaman na chhute haath se Sarkaar Tumhara
A’ada ko jalaane ke liye naar e hasad meiñ
Hum zikr kiye jaayenge Sarkaar Tumhara
Tauheed pe marte haiñ magar is se haiñ gaafil
Allah ka inkaar hai inkaar Tumhara
Tauheen ko Tauheed samajhte haiñ wahaabi
Samjhe inheiñ Rab Waahid e Qahhaar Tumhara
Bulbul hai JAMEEL E RAZVI aye gul e wehdat
Mil jaaye ise rehne ko gulzaar tumhara
Post Views: 14