Date: Sat 5 Sep 2026 /

5-Sep-2026 24-Rabi'al Awwal-1448

WO KAMAAL E HUSN E HUZOOR HAI Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

WO KAMAAL E HUSN E HUZOOR HAI

 

Wo kamaal e husne Huzoor hai ke gumaan ne naqs jahaañ nahiñ
Yahi phool khaar se door hai yahi Shamma hai ki dhuwaañ nahiñ

 

Do jahaan ki behtariya nahiñ ke amaani e dil o jaañ nahiñ
Kaho kya hai wo jo yahaañ nahiñ magar ek nahiñ ke wo haañ nahiñ

 

Maiñ nisaar tere kalaam par mili yuñ to kis ko zabaañ nahiñ
Wo sukhan hai jis meiñ sukhan na ho wo bayaañ hai jis ka bayaañ nahiñ

 

Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi mafar maqar
Jo wahaañ se ho yahiñ aake ho jo yahaañ nahiñ to wahaañ nahiñ

 

Tere aage yuñ haiñ dabe lache fusaha Arab ke bade bade
Koi jaan e munh mein zabaañ nahiñ, nahiñ balki jism meiñ jaañ nahiñ

 

Wahi noor e Haq wahi zille Rab, hai unhiñ se sab hai unhiñ ka sab
Nahiñ unki milc meiñ aasmaañ ki zameeñ nahi ke zamaañ nahiñ

 

Wahi la makaañ ke makeeñ huye sar-e-arsh takht nasheeñ huye
woh Nabi hai jis ke haiñ ye makaan wo Khuda hai jis ka makaañ nahiñ

 

Sar e arsh par hai teri guzar dil e farsh par hai teri nazar
Malakut o mulk meiñ koi shai nahiñ wo jo tujh pe ayaañ nahiñ

 

Karooñ tere naam pe jaañ fida na bas ek jaañ do jahaañ fida
Do jahaañ se bhi nahiñ ji bhara karooñ kya karoroñ jahaañ nahiñ

 

Karoon madh ehle duwal RAZA pade is balaa meiñ meri balaa
Maiñ gada hooñ apne kareem ka mera deen para e naañ nahiñ

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.