WASF E RUKH UNKA KIYA KARTE HAIÑ
Wasf e rukh unka kiya karte haiñ sharh washshamsudduha karte haiñ
Unki ham mad-ho sana karte haiñ Jin ko mehmood kaha karte haiñ
Tu hai khursheed e Risaalat pyare chhup gaye teri ziya meiñ taare
Ambiya aur haiñ sab mah paare tujh se hi noor liya karte haiñ
Apne maula ki hai bas shaan e azeem jaanwar bhi kareiñ jin ki taazeem
Sang karte haiñ adab se tasleem ped sajde meiñ gira karte haiñ
Ungliyaañ paayiñ wo pyari pyari jin se dariya e karam haiñ jaari
Josh par aati hai jab gam khwari tishne sairaab huwa karte haiñ
Jab sabaa aati hai taiba se idhar khilkhila padti haiñ kaliyaañ yaksar
Phool jaame se nikal kar baahar rukhe rangeeñ ki sanaa karte haiñ
Toot padti haiñ balaaeiñ jin par jin ko milta nahiñ koi yaawar
Har taraf se wo pur armaañ phirkar un ke daaman meiñ chhupa karte haiñ
Lab par aa jaata hai jab naam e janaab muñh meiñ ghul jaata hai shehd e naayaab
Wajd meiñ hoke hum aye jaañ betaab apne lab choom liya karte haiñ
Apne dil ka hai unhiñ se aaraam sauñpe haiñ apne unhiñ ko sab kaam
Lau lagi hai ke ab us dar ke gulaam chaara e dard e RAZA karte haiñ
Post Views: 6