WAAH KYA MARTABA HUWA TERA
Waah kya martaba huwa tera
Tu khuda ka khuda huwa tera
Taaj wale hoñ us meiñ ya mohtaaj
Sab ne paaya diya huwa tera
Haath khali koi phira na phire
Hai khazaana bhara huwa tera
Jo tera ho gaya khuda ka huwa
Jo khuda ka huwa huwa tera
Zaat bhi teri intekhaab huwi
Naam bhi Mustafa huwa tera
Jise tuney diya khuda ne diya
Dain Rab ki diya huwa tera
Ek aalam Khuda ka taalib hai
Aur taalib Khuda huwa tera
Meri ta’at se mere jurm fazooñ
Lutf sab se badha huwa tera
Kaam bigde huwe banaa dena
Kaam kis ka huwa huwa tera
Aye jinaañ mere gul ke sadqe meiñ
Takhta takhta basaa huwa tera
Is jalaalat ke shaher yaar kahaañ
Milc, mulk e Khuda huwa tera
Khalq kehti hai Laa Makaañ jis ko
Sheh nasheeñ hai sajaa huwa tera
Sukhe ghaatoñ mera utaar ho kyuñ
Ke hai dariya chadha huwa tera
Le khabar hum tabaah kaaroñ ki
Qaafla hai luta huwa tera
Bigdi baatoñ ki fikr kar na HASAN
Kaam sab hai banaa huwa tera
Post Views: 18