WAAH KYA JOOD O KARAM HAI SHAHE BATHA TERA
(By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)
Waah kya Jood o Karam hai Shahe Batha Tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala Tera
Dhare chalte haiñ Ataa ke wo hai qatra Tera
Taare khilte haiñ Sakha ke wo hai zarra Tera
Farsh wale teri Shaukat ka Uloo kya jaaneiñ
Khusrawa Arsh pe udta hai Pharera Tera
Aasmaañ khwaan zameeñ khwaan zamana mehmaan
Saahib e Khana Laqab kis ka hai Tera Tera
Maiñ to Maalik hi kahoonga ke ho Maalik ke Habeeb
Yani Mehboob o Muhib meiñ nahi Mera Tera
Tere Qadmoñ meiñ jo haiñ gair ka munh kya dekheiñ
Kaun nazroñ pe chadhe dekh ke talwa Tera
Chor Haakim se chhupa karte haiñ yaañ uske khilaaf
Tere daaman meiñ chhupe chor anokha Tera
Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka sahi bhaari hai bharosa Tera
Ek maiñ kya mere isyaañ ki haqiqat kitni
Mujh se sau lakh ko kaafi hai ishara Tera
Muft paala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab Amal poochhte haiñ haaye nikamma Tera
Tere tukdoñ se pale gair ki thokar pe na daal
Jhidkiyañ khaayeiñ kahaañ chhord ke sadqa Tera
Meri taqdeer buri ho to bhali karde ke hai
Mehw o Isbaat ke daftar pe karoda Tera
Tu jo chahe to abhi mael mere Dil ke dhule
Ke Khuda dil nahi karta kabhi maela Tera
Kis ka munh takiye kahaañ jaaiye kis se kahiye
Tere hi qadmoñ pe mit jaaye ye pala Tera
Tere sadqe mujhe ek boond bahut hai Teri
Jis din achhoñ ko mil-e jaam chhalakta Tera
Haram o Taiba wa Baghdad jidhar kije nigaah
Joat padti hai teri noor hai chhanta Tera
Teri Sarkaar meiñ laata hai RAZA us ko Shafee
Jo mera Gaus hai aur laadla beta Tera