TU SHAM’E RISAALAT HAI
Tu sham’e Risaalat hai aalam tera parwana
Tu maahe Nubuwwat hai aye jalwa e janana
Jo saaqi e kausar ke chehre se naqaab uthe
Har dil bane maikhaana har aañkh ho paimana
Dil apna chamak uthe imaan ki tal’at se
Kar aañkheiñ bhi nooraani aye jalwa e janana
Sarshaar mujhe kar de ek jaam e labaalab se
Ta hashr rahe saaqi aabaad ye maikhaana
Is dar ki huzoori hi isyaañ ki dawaa thehri
Hai zehr e ma’aasi ka taiba hi shifakhaana
Har phool meiñ boo teri har sham’a meiñ zau teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana
Peete haiñ tere dar ka khaate haiñ tere dar ka
Paani hai tera paani dana hai tera dana
Har aarzu bar aaye sab hasrateiñ poori hoñ
Wo kaan zaraa dhar kar sun leiñ mera afsana
Sang e darey jaanaañ par karta hooñ jabeeñ saayi
Sajda na samajh najdi sar deta hoon nazrana
Gir pad ke yahaañ pahuncha mar mar ke ise paaya
Choote na Ilaahi ab sange darey janana
Sang e darey jaanaañ hai thokar na lage is ko
Le hosh pakad ab to aye lagzish e mastana
Wo kehte na kehte kuchh wo karte na karte kuchh
Aye kaash wo sun lete mujh se mere afsana
Aabaad isey farma veeraañ hai dil e NOORI
Jalwe tere bas jaayeiñ aabaad ho veeraana
Sarkaar ke Jalwoñ se Roushan hai dil e NOORI
Ta hashr rahe roushan Noori ka ye Kashana
Post Views: 4