TERE DAR PE SAAJID HAIÑ
Tere dar pe saajid haiñ shaahaane aalam
Tu Sultaane aalam hai aye jaan e aalam
Ye pyaari adaayeiñ ye neechi nigaaheiñ
Fida jaan e aalam ho aye jaan e aalam
Mere dabdaba wale maiñ tere sadqe
Tere dar ke kutte haiñ shaahaan e aalam
Tumhari taraf haath phaile haiñ sabke
Tumhi poore karte ho armaan e aalam
Musalmaañ musalmaañ hai tere sabab se
Meri jaan tu hi hai Imaan e aalam
Mere aan waale mere shaan waale
Gadaayi tere dar ki hai shaane aalam
Wo dulha haiñ saari Khudaayi baraati
Unhi ke liye hai ye saamaan e aalam
Na dekha koi phool tujh saa na dekha
Bahut chhaan daale gulistaan e aalam
Tere koocha ki khaak thehri azal se
Meri jaañ ilaaje mareezaan e aalam
Koi jaan e Eisa ko jaa kar khabar de
Marey jaate haiñ dard mandaane aalam
Abhi saare beemaar hote haiñ achhe
Agar lab hila de wo darmaan e aalam
Samee’an khudaara HASAN ki bhi sun le
Balaa meiñ hai ye laus e daamaan e aalam
Post Views: 18