TERE DAMAN E KARAM MAIÑ
Tere daaman e karam meiñ jise neend aa gayi hai
Jo fanaa na hogi aisi usey zindagi mili hai
Mujhe kya padi kisi se karooñ arz mudda’a maiñ
Meri lau to bas unhiñ ke dare jood se lagi hai
Wo jahaan bhar ke daataa mujhe pher deñge khaali
Meri Tauba aye khuda! ye mere nafs ki badi hai
Jo paye sawaal aaye mujhe dekh kar ye bole
Isey chain se sulaao ke ye banda e Nabi hai
Maiñ marooñ to mere maula ye malaaika se keh deiñ
Koi is ko mat jagaana abhi aañkh lag gayi hai
Maiñ Gunaahgaar hooñ aur bade martaboñ ki khwaahish
Tu magar kareem hai, khu teri banda parwari hai
Teri yaad thapki dekar mujhe ab shaha sulaade
Mujhe jaagte huwe yuñ badi der ho gayi hai
Aye Naseem e kuwe jaanaañ zara sooye bad naseebaañ
Chali aa khuli hai tujh pe jo hamari be kasi hai
Tera dil shikasta AKHTAR isi intezaar meiñ hai
Ke abhi nawed e waslat tere dar se aa rahi hai
Post Views: 99