TALAATUM HAI YE KAISA
Talaatum hai ye kaisa aañsuoñ ka deeda e tar meiñ
Ye kaisi maujeiñ aayi haiñ tamanna ke samandar meiñ
Hujoom e shauq kaisa intezaar e kuwe dilbar meiñ
Dil e shaida samaata kyuñ nahiñ ab pehlu o bar meiñ
Tajassus karwateiñ kyuñ le raha hai qalb e muztar meiñ
Madina saamne hai bas abhi pahuñcha maiñ dum bhar meiñ
Madine tak pahunch jaata kahaañ taaqat thi ye par meiñ
Ye Sarwar ka karam hai Hai jo bulbul baage Sarwar meiñ
Jo tu aye taa’ire jaañ kaam leta kuchh bhi himmat se
Nazar ban kar pahunch jaate tajalli gaahe Sarwar meiñ
Na rakha mujh ko Taiba ki qafas meiñ is sitamgar ne
Sitam kaisa huwa bulbul pe ye qaid e sitamgar meiñ
Sitam se apne mit jaoge tum khud aye sitamgaaro
Suno hum keh rahe haiñ be khatar daur e sitamgar meiñ
Banaate jalwa gaahe naaz mere deeda o dil ko
Kabhi rehte wo is ghar meiñ kabhi rehte wo is ghar meiñ
Madine se raheiñ khud dur is ko rokne wale
Madine meiñ khud AKHTAR hai Madina chashme AKHTAR meiñ
Post Views: 77