TABEE’AT AAJ KYUÑ AISI RASAA HAI
Tabee’at Aaj kyuñ aisi rasaa hai
Ke Khud apni zabaañ par Marhaba hai
Sabaa kyuñ is qadar itra rahi hai
Chaman meiñ kaun sa guncha khila hai
Anaadil gaa rahe haiñ kyuñ taraane
Ye kaisa shaad har shaah o gadaa hai
Ye kaise Shaadiyaane baj rahe haiñ
Ye kyuñ baabe Masarrat aaj waa hai
Baraati haiñ Tamaami Ahlesunnat
Raza e Qaadri Doolha banaa hai
Taraane gaa rahi haiñ Qumriyaañ Aaj
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Bareilly ka naseeba jagmagaaya
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Baraati aa rahe haiñ wajd karte
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Ye dekho Sadqa e Siddeeq e Akbar
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Ye hai Farooq e Aazam ki Karaamat
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Karam Usmaan Zunnurain ka hai
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Sakhaawat hai Ali e Murtaza ki
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Ghataa Baghdaad se uthi karam ki
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Ye hai Baghdaad waale ka tasarruf
Ke Abdul Mustafa Doolha banaa hai
Mubaarak Ahlesunnat ko Mubaarak
Raza e Qaadri Doolha banaa hai
Kaheiñ kyuñ kar na achhe tujh ko achha
Huzoor Achhe ka tu achha huwa hai
Bhikaari aa rahe haiñ Bheek lene
Raza ke dar se baada bat raha hai
Jaleiñ A’ada e deeñ Naar e Hasad meiñ
Ke Yuñhiñ un ki qismat meiñ likha hai
Raza kyuñ kar na ho a’ada pe gaalib
Ke wo to Naaib e Sher e Khuda hai
Munaafiq hai ‘Adu is Aastaañ ka
Jo Sunni hai wo is dar ka gadaa hai
Bi Hamdillah Khushboo e Raza se
Dimaag e Ahlesunnat bas rahaa hai
Phale In ka Ilaahi! Baag e Aulaad
Ye har Sunni ke lab par Iltija hai
JAMEEL E QAADRI Alhamdu Lillaah
Ke Tu is Aastane ka gadaa hai
Post Views: 8