SUBHE SHAB E WILAADAT
Purnoor hai zamana Subhe Shab e Wilaadat
Parda utha hai kis ka Subhe Shab e Wilaadat
Jalwa hai haq ka jalwa Subhe Shab e Wilaadat
Saaya khuda ka Saaya Subhe Shab e Wilaadat
Fasl e bahaar aayi shakle nigaar aayi
Gulzaar hai zamaana Subhe Shab e Wilaadat
Qatra meiñ laakh dariya gul meiñ hazaar gulshan
Nashwo numa hai kya kya Subhe Shab e Wilaadat
Jannat ke har makaañ ki aaina bandiyañ haiñ
Aarasta hai duniya Subhe Shab e Wilaadat
Makka meiñ shaam ke ghar roshan hai har nigaah par
Chamka hai wo ujaala Subhe Shab e Wilaadat
Aayi nayi hukoomat sikka nayaa chalega
Aalam ne rang badla Subhe Shab e Wilaadat
Roohul ameeñ ne gaada kaabe ki chhat pe jhanda
Ta arsh uda pharera Subhe Shab e Wilaadat
Padhte haiñ arsh wale sunte haiñ farsh wale
Sultaan e nao ka khutba Subhe Shab e Wilaadat
Pyaare Rabiul Awwal teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba Subhe Shab e Wilaadat
Nausha banaao unko Dulha banaao unko
Hai arsh tak ye shohra Subhe Shab e Wilaadat
Shaadi rachi huwi hai bajte haiñ shaadiyaane
Dulha banaa wo dulha Subhe Shab e Wilaadat
Mehroom reh na jaayeiñ din raat barkatoñ se
Is waaste wo aaya Subhe Shab e Wilaadat
Arsh e azeem jhume ka’aba zameen chume
Aata hai arsh wala Subhe Shab e Wilaadat
Hushyaar hoñ bhikaari nazdeek hai sawaari
Ye keh rahaa hai danka Subhe Shab e Wilaadat
Uttho Huzoor aaye shaahe gayoor aaye
Sultaan e deeno duniya Subhe Shab e Wilaadat
Sukhi zabaano aao aye jalti jaanoñ aao
Lehra raha hai dariya Subhe Shab e Wilaadat
Murjhaai kaliyoñ aao kumhlaye phooloñ aao
Barsaa karam ka jhaala Subhe Shab e Wilaadat
Teri chamak damak se aalam jhalak raha hai
Mere bhi bakht chamka Subhe Shab e Wilaadat
Taareek raat gam ki laayi balaa sitam ki
Sadqa tajalliyoñ ka Subhe Shab e Wilaadat
Laaya hai sheer tera Noor e khuda ka jalwa
Dil kar de doodh dhoya Subhe Shab e Wilaadat
Baañta hai do jahañ meiñ tuney ziya ka baada
De de HASAN ka hissa Subhe Shab e Wilaadat
Post Views: 10