SUBHA TAIBA MEIÑ HUI
Subha Taiba meiñ hui bat-ta hai baada Noor ka
Sadqa lene Noor ka aaya hai taara Noor ka
Baaghe Taiba meiñ suhana phool phoola Noor ka
Mast boo haiñ bulbuleiñ padhti haiñ kalma Noor ka
Baarhviñ ke chaand ka mujra hai sajda Noor ka
Baaraa burjoñ se jhuka ek ek sitaara Noor ka
Un ke qasr e qadr se khuld ek kamra Noor ka
Sidrah paayeiñ baag meiñ nanha sa pauda Noor ka
Aayi bid’at chhaai Zulmat rang badla Noor ka
Maahe sunnat mehr e tal’at lele badla Noor ka
Tere hi maathe raha aye jaan sehra Noor ka
Bakht jaaga noor ka chamka sitara Noor ka
Maiñ gadaa tu Baadshaah bhar de pyala Noor ka
Noor din duna tera de daal sadqa Noor ka
Pusht par dhalka sare anwar se shimla Noor ka
Dekheiñ Moosa toor se utra saheefa Noor ka
Taaj waale dekh kar tera amaama Noor ka
Sar jhukate haiñ Ilahi bol baala Noor ka
Bini e purnoor par rakhshaañ hai bukka Noor ka
Hai liwaa ul hamd par udta pharera Noor ka
Mus-haf e aariz pe hai khatte shafeeaa Noor ka
Lo, siyaahkaaro! mubarak ho qabaala Noor ka
Aab e zar banta hai aariz par paseena Noor ka
Mus-haf e ejaz par chadhta hai sona Noor ka
Pech karta hai fida hone ko lam’aa Noor ka
Girde sar phirne ko banta hai Amaama Noor ka
Haibat e aariz se tharraata hai shola Noor ka
Kafsh e Pa par gir ke ban jaata hai guppha Noor ka
Sham’a dil, mishkaat tan, seena zujaajah Noor ka
Teri soorat ke liye aaya hai Soora Noor ka
Tu hai saaya noor ka har azwu tukda Noor ka
Saaye ka saaya na hota hai na saaya Noor ka
Bazm e wehdat meiñ mazaa hoga do baala Noor ka
Milne sham’a e toor se jaata hai Ikka Noor ka
Wasf e rukh meiñ gaati haiñ Hooreiñ taraana Noor ka
Qudrati beenoñ meiñ kya bajta hai lehra Noor ka
Ye kitaabe kun meiñ aaya turfa aayah noor ka
Gaire qaail kuchh na samjha koi ma’ana Noor ka
Dekhne waaloñ ne kuchh dekha na bhaala noor ka
Mann ra’aa kaisa? ye aaina dikhaaya Noor ka
Subh kar di kufr ki sachha tha muzda Noor ka
Shaam hi se tha shab e teera ko dhadka Noor ka
Padti hai noori bharan umda hai dariya Noor ka
Sar jhuka aye kisht e kufr aata hai ahla Noor ka
Naariyoñ ka daur tha Dil jal raha tha Noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda Kaleja Noor ka
Naskh e adiyaañ kar ke Khud qabza bithaya Noor ka
Taajwar ne kar liya kachcha Ilaaqa Noor ka
Jo gadaa dekho liye jaata hai toda Noor ka
Noor ki Sarkaar hai kya is meiñ toda Noor ka
Bheek le Sarkaar se la jald kaasa Noor ka
Maahe nav Taiba meiñ bat-ta hai maheena Noor ka
Teri nasle paak meiñ hai bachcha bachcha Noor ka
Tu hai ain e Noor tera sab gharaana Noor ka
Noor ki Sarkaar se paaya doshaala Noor ka
Ho mubarak tum ko Zun Noorain joda Noor ka
Qabr e Anwar kahiye ya Qasr e Mu’alla Noor ka
Charkh e Atlas ya koi Saada sa qubba Noor ka
Aañkh mil sakti nahi dar par hai pehra Noor ka
Taab hai be Hukm par maare parinda Noor ka
Naz’a meiñ lotega Khaak e dar pe shaida Noor ka
Mar ke odhe gi Aroos e jaañ dopatta Noor ka
Taabe mehre hashr se chauñke na kushta Noor ka
Boondiyaañ rehmat ki dene aayeiñ chheeñta Noor ka
Ye Jo mehr o mah pe hai Itlaaq aata Noor ka
Bheek tere naam ki hai Iste’aara Noor ka
Taab e sum se chauñdhiya kar chaand unheeñ qadmoñ phira
Hañs ke bijli ne kaha dekha chhalaawa Noor ka
Chaand jhuk jaata jidhar ungli uthaate mahed meiñ
Kya hi chalta tha ishaaroñ par khilona Noor ka
Ek seena tak mushabah ek wahaañ se paoñ tak
Husn e sibtain un ke jaamoñ meiñ hai neema Noor ka
Saaf shakl e paak hai donoñ ke milne se ayaañ
Khat-e-Tu-am meiñ likha hai ye do warqa Noor ka
Kaaf gesu Haa dahan Yaa abru aankheiñ Ain Suaad
Kaaf Haa Yaa Ain Suaad un ka hai chehra Noor
Aye RAZA ye Ahmed-e-Noori ka faiz e Noor hai
Ho gayi meri gazal badh kar qaseeda Noor ka
Post Views: 20