SHAJA’AT NAAZ KARTI HAI
Shaja’at Naaz karti hai Jalaalat Naaz karti hai
Wo Sultaan e Zamaañ haiñ Un pe Shaukat Naaz karti hai
Sadaaqat Naaz karti hai Amaanat Naaz karti hai
Hamiyat Naaz karti hai Murawwat Naaz Karti hai
Shahe Khoobaañ pe har khoobi o khaslat Naaz karti hai
Kareem aise haiñ wo un par Karaamat Naaz karti hai
Jahaan e Husn meiñ bhi kuchh niraali shaan hai Un ki
Nabi ke gul pe gulzaaroñ ki zeenat Naaz karti hai
Shahenshaahe Shaheedaañ ho Anokhi Shaan wale ho
Husain Ibne Ali tum par Shahaadat Naaz karti hai
Bitha kar Shaana e Aqdas pe kar di Shaan do baalaa
Nabi ke laadloñ par har fazeelat naaz karti hai
Fidaayi huñ to kis ka huñ Koi dekhe meri qismat
Qadam par jis haseeñ ki jaan e tal’at naaz karti hai
Khuda ke fazl se AKHTAR maiñ un ka naam lewa huñ
Main huñ qismat pe naazaañ Mujh pe qismat naaz karti hai
Post Views: 242