SARWAR KAHOOÑ KE MAALIK O MAULA
Sarwar Kahooñ ke maalik o maula kahooñ tujhe
Baag e khaleel ka gule zeba kahooñ tujhe
Hirmaañ naseeb hooñ tujhe ummeed gah kahooñ
Jaan e muraad kaane tamanna kahooñ tujhe
Gulzaar e quds ka gul e rangeeñ adaa kahooñ
darmaan e dard e bulbule shaida kahooñ tujhe
Sub-he watan pe shaam e gareebaañ ko dooñ sharaf
bekas nawaaz gesuoñ wala kahooñ tujhe
Allah re tere jism e munawwar ki taabisheiñ
Aye jaane jaañ maiñ jaane tajalla kahooñ tujhe
Be daag lala ya qamar e be kalaf kahooñ
Be khaar gulban e chaman aara kahooñ tujhe
Mujrim hooñ apne afw ka saamaañ karooñ shaha
Yaani shafee’ roz e jazaa ka kahooñ tujhe
Is murda dil ko muzda hayaat e abad ka dooñ
Taab o tawaane jaane maseeha kahooñ tujhe
Tere to wasf aib e tanaahi se haiñ baree
Hairaañ hooñ mere shaah maiñ kya kya kahooñ tujhe
Keh legi sab kuch un ke sana khwaañ ki khamoshi
Chup ho raha hai keh ke maiñ kya kya kahooñ tujhe
Lekin RAZA ne khatm sukhan is pe kar diya
Khaaliq ka banda khalq ka Aaqa kahooñ tujhe
Post Views: 8