SAR SOOYE RAUZA JHUKA
Sar sooye rauza jhuka phir tujh ko kya
Dil tha saajid najdiya phir tujh ko kya
Baith-te uth-te madad ke waaste
Ya Rasoolallah kaha phir tujh ko kya
Be khudi meiñ sajda e dar ya tawaaf
Jo kiya achha kiya phir tujh ko kya
Un ko tamleek-e-maleekul mulk se
Maalik e aalam kaha phir tujh ko kya
Un ke naam e paak par dil jaan o maal
Najdiya sab tajdiya phir tujh ko kya
Ya Ibaadi keh ke hum ko shaah ne
Apna Banda kar liya phir tujh ko kya
Dev ke bandoñ se kab hai ye khitaab
Tu na un ka hai na tha phir tujh ko kya
Najdi martaa hai ke kyuñ taazeem ki
Ye hamara deen tha phir tujh ko kya
Dev tujh se khush hai phir hum kya kareiñ
Hum se raazi hai khuda phir tujh ko kya
Dev ke bandoñ se humko kya garaz
Hum haiñ Abd e Mustafa phir tujh ko kya
Teri dozakh se to kuchh chheena nahiñ
Khuld meiñ pahuncha RAZA phir tujh ko kya
Post Views: 8