SAMBHAL JA AYE DIL E MUZTAR
Sambhal ja aye dil e muztar Madina aane wala hai
Luta aye chashme tar gouhar Madina aane wala hai
Qadam ban jaaye mera sar Madina aane wala hai
Bichhuñ rah meiñ nazar bankar Madina aane wala hai
Jo dekhe un ka naqsh e paa Khuda se wo nazar maañguñ
Charag e dil chalooñ lekar Madina aane wala hai
Karam un ka chala yuñ dil se kehta raahe Taiba meiñ
Dil e muztar tasalli kar Madina aane wala hai
Nichhaawar haiñ Madina ki Ye mera dil meri aañkheiñ
Nichhaawar huñ Madina par Madina aane wala hai
Ilahi maiñ Talabgaare Fana hooñ Khaak e Taiba meiñ
Ilahi kar nisaar e dar Madina aane wala hai
Madina ko chalaa maiñ be niyaaz-e-rehbar e manzil
Rahe Taiba hai khud rehbar Madina aane wala hai
Mujhe kheeñche liye jaata hai shauq e koocha e jaanaañ
Khiñcha jaata huñ maiñ yaksar Madina aane wala hai
Wo chamka Gumbade Khazra wo Shehr e pur ziya aaya
Dhale ab noor meiñ paikar Madina aane wala hai
Talabgaar e Madina tak Madina khud hi aajaaye
Tu duniya se kanaara kar Madina aane wala hai
Madina aagaya ab der kya hai sirf itni si
Tu khaali kar ye dil ka ghar Madina aane wala hai
Falak shaayad zameeñ par reh gaya khaak e guzar ban kar
Bichhe haiñ raah meiñ Akhtar Madina aane wala hai
Qamar aaya hai shaayad un ke talwoñ ki ziya lene
Bichha hai chaand ka bistar Madina aane wala hai
Mohammed ke gadaa kuchh farsh waale hi nahiñ dekho
Wo aata hai shahe khaawar Madina aane wala hai
Gubaar e Raahe anwar kis qadar pur noor hai AKHTAR
Tani hai noor ki chaadar Madina aane wala hai
Post Views: 96