PAYAAM LEKE JO AAYI
Payaam leke jo aayi sabaa Madine se
Mareez e Ishq ki laai dawaa Madine se
Suno to gaur se aayi sadaa Madeene se
Qareeñ hai Rehmat o fazle khuda Madine se
Miley hamare bhi dil ko jila Madine se
Ke mehro maah ne paayi ziyaa Madine se
Tumhari ek jhalak ne kiya ise dilkash
Farog husn ne paaya shaha Madine se
Bataade koi kisi aur se bhi kuchh paaya
Jise mila jo mila wo mila Madine se
Wo aaya khuld meiñ jo aagaya Madine meiñ
Gayaa wo khuld se jo chaldiya Madine se
Na chain paayega ye gamzada kisi soorat
Mareez e gam ko milegi shifaa Madine se
Lagaao dil ko na duniya meiñ har kisi shai se
Ta’aluq apna ho ka’abe se ya Madine se
Tere Habeeb ka pyaara chaman kiya barbaad
Ilaahi nikle ye najdi balaa Madine se
Tere Naseeb ka NOORI milega tujh ko bhi
Le aaye hissa ye shaaho gadaa Madine se
Post Views: 17