PAAT WO KUCHH DHAAR YE
Paat wo kuchh dhaar ye kuchh zaar hum
Ya Ilahi kyuñkar utre paar hum
Kis balaa ki mai se haiñ sarshaar hum
Din dhala hote nahiñ hushiyaar hum
Dushmano ki Aañkh meiñ bhi phool tum
Dostoñ ki bhi nazar meiñ khaar hum
Lagzishe pa ka sahara ek tum
Girne wale laakhoñ, naa-hanjaar hum
Sadqa apne baazuoñ ka al madad
Kaise todeiñ ye bute pindaar hum
Dum qadam ki khair aye jaan e Maseeh
Dar pe laaye haiñ dil e beemar hum
Apni rehmat ki taraf dekheiñ huzoor
Jaante haiñ jaise haiñ badkaar hum
Apne mehmanoñ ka sadqa ek boond
Mar mite pyase idhar sarkaar hum
Haath uthakar ek tukda aye kareem
Haiñ sakhi ke maal meiñ haqdaar hum
Ba ata tum, shah tum, mukhtaar tum
Be nawa hum, zaar hum, naachaar hum
Apni Sattari ka ya Rab waasta
Hoñ na ruswa bar sar e darbaar hum
Itni arze aakhiri keh do koi
Naav tooti aa pade mañjdhaar hum
Sunniyat se khatke sab ki aañkh meiñ
Phool hokar ban gaye kya khaar hum
Dil ke tukde nazr-e-haazir laaye haiñ
Aye sagaane kucha e dildaar hum
Un ke aage daawa e hasti RAZA
Kya bake jaata hai ye har baar hum
Post Views: 15