NAZAR EK CHAMAN SE DO CHAAR HAI
Nazar ek chaman se do chaar hai na chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar e bulbul e zaar hai
Na dil e bashar hi figaar hai ke malak bhi us ka shikaar hai
Ye jahaañ ke hezdah hazaar hai jise dekho us ka hazaar hai
Wo hai bheeni bheeni wahaañ mahek ke basaa hai arsh se farsh tak
Wo hai pyari pyari wahaañ chamak ke wahaañ ki shab bhi nihaar hai
Wahi jalwa shaher bashaher hai wahi asl-e aalam o dahr hai
Wahi baher hai wahi laher hai wahi paat hai wahi dhaar hai
Wo na tha to baag meiñ kuchh na tha wo na ho to baag ho sab fanaa
Wo hai jaan, jaan se hai baqaa wahi bun hai bun se hi baar hai
Ye adab ke bulbule be nawaa kabhi khul ke kar na sak-e nawaa
Na sabaa ko tez rawish rawaa na chhalakti nehroñ ki dhaar hai
Ba adab jhukaalo sar e vila ke maiñ naam looñ gul o baag ka
Gul e tar Mohammed Mustafa chaman un ka paak dayaar hai
Wahi aañkh un ka jo muñh tak-e wahi lab ke mahw hoñ naat ke
Wahi sar jo un ke liye jhuke wahi dil jo un pe nisaar hai
Jise teri saffe na’aal se mil-e do niwale nawaal se
Wo banaa ke us ke ugaal se bhari sultanat ka udhaar hai
Wo utheiñ chamak ke tajalliyaañ ke mita deeñ sab ki ta’alliyaañ
Dil o jaañ ko bakhsheeñ tasalliyaañ tera noor baar e dohaar hai
Rusul o malak pe durood ho wahi jaane un ke shumaar ko
Magar ek aisa dikha to do jo shafee-e-roz e shumaar hai
Gunahe RAZA ka hisaab kya wo agar che laakhoñ se haiñ siwa
Magar aye afu tere afwa ka na hisaab hai na shumaar hai
Tere deen e paak ki wo ziya ke chamak uthi rah e istefa
jo na maane aap saqar gaya kahiñ noor hai kahiñ naar hai
Koi jaan bas ke mahek rahi kisi dil meiñ us se khatak rahi
Nahiñ us ke jalwe meiñ yak rahi kahiñ phool hai kahiñ khaar hai
Wo jise wahaabiya ne diya hai laqab shaheed o zabeeh ka
Wo shaheed e laila e najd tha wo zabeeh e teg e khiyaar hai
Ye hai deeñ ki taqwiyat us ke ghar ye hai mustaqeem sirat e shar
Jo shaqi ke dil meiñ hai gaao khar to zabaañ pe chaurdha chamaar hai
Wo habeeb pyara to umr bhar karey faiz o jood hi sar basar
Arey tujh ko khaaye tap e saqar tere dil meiñ kis se bukhaar hai
Wo RAZA ke neza ki maar hai ke adu ke seena meiñ gaar hai
Kise chara joi ka waar hai ke ye waar waar se paar hai
Post Views: 10