Date: Mon 7 Sep 2026 /

7-Sep-2026 26-Rabi'al Awwal-1448

NAHI MERE ACHHE AMAL GAUSUL AAZAM Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

NAHI MERE ACHHE AMAL GAUSUL AAZAM

 

Nahi mere achhe amal Gausul Aazam
Magar tumpe rakhta hooñ bal Gausul Aazam

 

Jo duniya meiñ hoga Madad khwaah un se
Sambhaalenge kal us ki kul Gausul Aazam

 

Khilaade kali dil ki maiñ tere sadqe
Pareshaan hooñ aaj kal Gausul Aazam

 

Haiñ Mushkil kusha Jadde Amjad Tumhare
Karo mere uqdoñ ka hal Gausul Aazam

 

Tamanna hai dil mein ke Baghdaad pahunchuñ
Wahiñ mujh ko aaye ajal Gausul Aazam

 

JAMEEL aarzu hai ke mujh ko bulaakar
Suneiñ mujh se khud ye gazal Gausul Aazam

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.