MUFTI E AAZAM E DEEN E KHAIRUL WARAA
Mufti e Aazam-e deen-e Khairul Waraa
Jalwa e Shaan e Irfaan e Ahmed Raza
Deed e Ahmed Raza hai tumheiñ dekhna
Zaat e Ahmed Raza ka ho tum aaina
Kya kahooñ haq ke ho kaise tum muqtada
Muqtadaayaañ e Haq karte haiñ iqteda
Un ki midhat ko maiñ kis se maañgu zubaañ
Kya maqaam e suraiya bataaye saraa
Ahmed-e-Noori ke haiñ ye mazhar tamaam
Ye haiñ Noori Miyaañ Noori har har adaa
Noor ki mai pilaate haiñ ye roz o shab
Jis ko peena ho aaye hai Maikhaana wa
Haiñ bahut ilm waale bhi aur peer bhi
Aañkhoñ dekha na un sa na kaanoñ suna
Un ka saaya saroñ par salaamat rahe
Muñh sadaate raheñ yuñhi dushman sadaa
Un ke haasid pe wo dekho bijli giri
Wo jalaa dekh kar wo jalaa wo jalaa
Wo jaleñge hamesha jo tujh se jaleiñ
Marke bhi dil jaloñ ko na chain aayega
Aashiqoñ ke jigar un se thande raheiñ
Dushmanoñ par raheiñ ban ke shakle Qazaa
Aur hoñge jinheiñ tujh se laalach ho kuchh
Tere AKHTAR ko kaafi hai teri Raza
Post Views: 250