LUTF UN KA AAM HO HI JAYEGA
Lutf un ka Aam ho hi jayega
Shaad har naakaam ho hi jayega
Jaan dedo waada e deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega
Be nishaanoñ ka Nishaañ mit-ta nahiñ
Mit-te mit-te naam ho hi jayega
Yaade gesoo zikr e Haq hai aah kar
Dil meiñ paida laam ho hi jayega
Ek din aawaz badleinge ye Saaz
Cheh-chaha Kohraam ho hi jayega
Saailo daaman sakhi ka thaam lo
Kuchh na kuchh In’aam ho hi jayega
Yaad e abru karke tadpo Bulbulo!
Tukde tukde daam ho hi jayega
Mufliso! un ki gali meiñ ja pado
Baag e Khuld ikraam ho hi jayega
Gam to unko bhulkar lipta hai yuñ
Jaise apna kaam ho hi jayega
Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Bouroñ ka bhi kaam ho hi jayega
Ab to laai hai shafa’at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jayega
Aye RAZA har kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi aaram ho hi jayega
Post Views: 8