KUCHH AISA KAR DE
Kuchh aisa kar de mere kirdigaar Aañkhoñ meiñ
Hamesha naqsh rahe ru e yaar Aañkhoñ meiñ
Na kaise ye gul o Gunche hoñ khwaar Aañkhoñ meiñ
Basey huwe haiñ madeene ke khaar Aañkhoñ meiñ
Wo noor de mere parwardigaar Aañkhoñ meiñ
Ke jalwah gar rahe rukh ki bahaar Aañkhoñ meiñ
Basar ke saath baseerat bhi khoob raushan ho
Lagaauñ khaak e qadam baar baar Aañkhoñ meiñ
Tumhare qadmoñ pe moti nisaar honey ko
Haiñ beshumaar meri ashkbaar Aañkhoñ meiñ
Unheiñ na dekha to kis kaam ki haiñ ye Aañkheiñ
Ke dekhne ki hai saari bahaar Aañkhoñ meiñ
Nazar meiñ kaise samaayeñge phool jannat ke
Ke bas chuke haiñ Madine ke khaar Aañkhoñ meiñ
Ajab nahiñ ke likha loh ka nazar aaye
Jo naqsh e paa ka lagaauñ gubaar Aañkhoñ meiñ
Ye dum hamara koi dum ka aur mehmaañ hai
Karam se lijiye dum bhar qaraar Aañkhoñ meiñ
Ye gul ye gunchey ye gulshan ke bel aur butey
Unhiñ ke dum ki hai saari bahaar Aañkhoñ meiñ
Ye dil tadap ke kaheeñ aañkhoñ meiñ na aajaye
Ke phir raha hai kisi ka mazaar Aañkhoñ meiñ
Karam ye mujh pe kiya hai mere tasawwur ne
Ke aaj kheeñch di tasweer e yaar Aañkhoñ meiñ
Farishto poochhte ho mujh se kis ki ummat ho
Lo dekh lo ye hai tasweer e yaar Aañkhoñ meiñ
Ye kya sawaal hai mujh se ke kis ka banda hai
Maiñ jis ka banda hooñ hai noor baar Aañkhoñ meiñ
Piya hai jaam e mohabbat jo aap ne NOORI
Hamesha us ka rahega khumaar Aañkhoñ meiñ
Post Views: 26