KHUDA KE FAZL SE
Khuda ke fazl se hum par hai saaya Gaus e Aazam ka
Hameiñ dono jahaañ meiñ hai Sahara Gaus e Aazam ka
Muridi La Takhaf keh kar Tasalli di gulamoñ ko
Qayamat tak rahe be khauf Banda Gaus e Aazam ka
Jo apne ko kahe mera mureedoñ meiñ wo daakhil hai
Ye farmaaya huwa hai mere Aaqa Gaus e Aazam ka
Hamaari laaj kis ke haath hai Baghdaad waale ke
Museebat taal dena kaam kiska Gaus e Aazam ka
Gaye ek waqt meiñ sattar mureedoñ ke yahaañ aaqa
Samajh meiñ aa nahiñ sakta mu-amma Gaus e Aazam ka
Bulaa kar kaafiroñ ko dete haiñ Abdaal ka rutba
Hamesha josh par rehta hai dariya Gaus e Aazam ka
Salaateene Jahaañ kyuñkar na un ke Ro’ab se kaañpeiñ
na laaya sher ko khatre meiñ kutta Gaus e Aazam ka
Huwi ek dev se ladki riha us naam lewaa ki
Padha jungle meiñ jab us ne wazeefa Gaus e Aazam ka
Wo kehkar qum bi iznillaah jila dete haiñ murdoñ ko
Bahut mashhoor hai ehya e mauta Gaus e Aazam ka
Farishte madrase tak saath pahuñchaane ko jaate the
Ye darbaar e Ilaahi meiñ hai rutba Guas e Aazam ka
Jo farmaaya ke doshe Auliya par hai qadam mera
Liya sar ko jhuka kar sab ne talwa Gaus e Aazam ka
Dum e farmaa khuraasaañ meiñ Moinuddeen Chishti ne
Jhuka kar sar liya aañkhoñ pe talwa Gaus e Aazam ka
Agar che murg sab ke bol kar khaamosh hote haiñ
Magar haan! murg bolega hamesha Gaus e Aazam ka
Rahe paaband e Ahkaam e Shari’at Ibteda hi se
Na chhoota sheer khwaari meiñ bhi roza Gaus e Aazam ka
Mohammed ka Rasooloñ meiñ hai jaise martaba A’ala
Hai Afzal Auliya meiñ yuñ hi Rutba Gaus e Aazam ka
Ata ki hai bulandi Haq ne Ahlullaah ke jhandoñ ko
Magar sab se kiya ooncha pharera Gaus e Aazam ka
Rihaayi mil gayi us ko azaab e qabr o mehshar se
Yahaañ par mil gaya jisko sahara Gaus e Aazam ka
Lahed meiñ jab farishte mujh se poochheñge to keh dooñga
Tareeqa Qaadri hooñ naam lewa Gaus e Aazam ka
Farishto! rokte kyuñ ho mujhe jannat meiñ jaane se
Ye dekho haath meiñ daaman hai kis ka Gaus e Aazam ka
Janaab e Gaus Dulha aur baraati Auliya honge
Mazaa dikhlayega mehshar meiñ sehra Gaus e Aazam ka
Meri phooti huwi taqdeer ki qismat chamak jaaye
Banaaye mujh ko apna sag jo Kutta Gaus e Aazam ka
Sadaaye soor sunkar qabr se uth-te hi poochhuñga
Ke batlaao kidhar hai Aastaana Gaus e Aazam ka
Nabi Noor e Ilaahi aur ye Noor e Mustafaai haiñ
To phir Noori na ho kyuñ kar gharaanaa Gaus e Aazam ka
Rasoolullah ka dushman hai Gaus e Paak ka dushman
Rasoolullah ka pyaara hai pyaara Gaus e Aazam ka
Mukhaalif kya karey mera ke hai behad karam mujh par
Khuda ka Rehmatul Lil Aalameeñ ka Gaus e Aazam ka
JAMIL E QAADRI Sau Jaañ se ho qurbaan Murshid par
Banaaya jis ne tujh jaise ko bandaa Gaus e Aazam ka
Post Views: 11