KHILA MERE DIL KI KALEE GAUS E AAZAM
Khila mere dil ki kalee Gaus e Aazam
Mita qalb ki be kalee Gaus e Aazam
Mere chaand maiñ sadqe aaja idhar bhi
Chamak utthe dil ki galee Gaus e Aazam
Tere Rab ne maalik kiya tere Jad ko
Tere ghar se duniya palee Gaus e Aazam
Woh hai kaun aisa nahiñ jis ne paaya
Tere dar pe duniya dhalee Gaus e Aazam
Kaha jis ne Ya Gaus Agisni to dum meiñ
Bar aayi museebat talee Gaus e Aazam
Meri rozi mujh ko ataa kar de Aaqa
Tere dar se duniya ne lee Gaus e Aazam
Na maangu maiñ tum se to phir kis se maanguñ
Kahiñ aur bhi hai chalee Gaus e Aazam
Sadaa gar yahaañ maiñ na dooñ to kahaañ dooñ
Koi aur bhi hai galee Gaus e Aazam
Jo qismat ho meri buri achhi karde
jo ‘aadat ho bad kar bhalee Gaus e Aazam
Tera martaba ‘aala kyuñ ho na maula
Tu hai ibne Maula Ali Gaus e Aazam
Qadam gardan e Auliya par hai tera
Hai tu Rab ka aisa walee Gaus e Aazam
Jo dubi thi kashti wo dum meiñ nikaali
Tujhe aisi qudrat milee Gaus e Aazam
Hamara bhi beda lagaado kinaare
Tumheiñ na khudaai milee Gaus e Aazam
Tabaahi se naav hamari bachaado
Hawaa e mukhalif chalee Gaus e Aazam
Fida tum pe ho jaaye NOORI e muztar
Ye hai us ki khwaahish dilee Guas e Aazam
Post Views: 24