KARAM JO AAP KA
Karam jo aap ka aye sayyed e abraar ho jaaye
To har badkaar banda dum meiñ nekokaar ho jaaye
Jo momin dekhe tum ko mehrame asraar ho jaaye
Jo kaafir dekh le tum ko to wo deeñdaar ho jaaye
Inaayat se mere sar par agar woh kafshe pa rakh deiñ
Ye Banda Taajdaaroñ ka bhi to sardaar ho jaaye
Talatum kaisa hi kuchh ho magar aye naakhuda e mann
Ishaara aap farmaadeiñ to beda paar ho jaaye
Tumhare faiz se laathi Misaal e Sham’a roushan ho
Jo tum lakdi ko chaaho tez tar talwaar ho jaaye
Gunaah kitne hi aur kaise hi haiñ par rehmat e aalam
Shafa’at aap farmaayeiñ to beda paar ho jaaye
Bharam reh jaaye mehshar meiñ na palla halka ho apna
Ilaahi! mere palle par Mera Gamkhwaar ho jaaye
Ishaara paaye to dooba huwa sooraj bar aamad ho
Uthe ungli to meh do balki do do chaar ho jaaye
Tumhare hukm ka baandha huwa suraj phire ulta
Jo tum chaaho ke shab din ho abhi sarkaar ho jaaye
Qawaafi aur mazaameeñ achchhe achchhe haiñ abhi baaqi
Magar bas bhi karo NOORI na padhna baar ho jaaye
Post Views: 25