KAR LO MAQBOOL YA RASOOLALLAAH
Kar lo Maqbool Ya Rasoolallaah
Ye meri iltija Rasoolallaah
Bani e majlis e mubarak ko
Dejiye behtar silaa Rasoolallaah
Jitne Sunni Shareek e Majlis haiñ
Sab pe kar do ataa Rasoolallaah
Aap ke aastaañ ke bande haiñ
Bakhsh do har khataa Rasoolallaah
Har Museebat meiñ kijiye imdaad
Jab pukareiñ ke Ya Rasoolallaah
Us ki fauran muraad bar aayi
Jis ne dil se kaha Rasoolallaah
Qabr meiñ hashr o nashr o meezaañ meiñ
Har alam se bacha Rasoolallaah
Khuld meiñ apne saath le lena
Apne bandoñ ko Ya Rasoolallaah
Peer o murshid mere Janaab e Raza
Un pe saaya tera Rasoolallaah
Un ki Aulaad sab phale phoole
Hashr tak daaima Rasoolallaah
Haamid o Mustafa Raza ke phool
Mehkeiñ taa hashr Ya Rasoolallaah
Unke aa’ada pe rakh unheiñ gaalib
Aur izzat badhaa Rasoolallaah
Nechri Kaandhwi Wahabi se
Sunniyoñ ko bachaa Rasoolallaah
Jo ke Gangohi ki karey tareef
Us ko andha uthaa Rasoolallaah
Thaanvi ko jo peshwa jaane
Us ko neecha dikhaa Rasoolallaah
Qadiyani ko jo kahe momin
Bhej us par balaa Rasoolallaah
In Khabeesoñ ko jo kahe kaafir
Us pe Fazl e Khuda Rasoolallaah
In Shayateeñ pe jo kare laanat
Us pe Rehm e Khuda Rasoolallaah
Har jagah mere waaldain pe ho
Rehm o fazl Aap ka Rasoolallaah
Mere ahl o eyaal par rehmat
Aap ki daaima Rasoolallaah
Mere ahbaab par bhi fazl rahe
Har ghadi Aap ka Rasoolallaah
Gaus e Aazam ka waasta ho qubool
Meri har iltija Rasoolallaah
Apne bande JAMEEL E RAZVI ko
Khaas banda banaa Rasoolallaah
Post Views: 11