HAR NAZAR KAAÑP UTHEGI
Har nazar kaañp uthegi mehshar ke din
Khauf se har kaleja dahel jaayega
Par ye naaz un ke bande ka dekheñge sab
Thaam kar un ka daaman machal jaayega
Mauj katra ke hum se chali jaayegi
Rukh mukhaalif hawa ka badal jaayega
Jab ishaara karenge wo Naam e Khuda
Apna beda bhañwar se nikal jaayega
Yuñ to jeeta huñ hukme Khuda se magar
Mere dil ki hai unko yaqeenan khabar
Haasil e zindagi hoga wo din mera
Un ke qadmoñ pe jab dum nikal jaayega
Rabbe Sallim wo farmaane wale miley
Kyuñ sataatey haiñ aye dil tujhe waswasey
Pul se guzrenge hum wajd karte huwe
Kaun kehta hai paoñ phisal jaayega
AKHTAR e khasta kyuñ itna be chain hai
Tera Aaqa Shahenshaahe Kaunain hai
Lau lagaa to sahi Shaahe Laulaak se
Gam masarrat ke saañche meiñ dhal jaayega
Post Views: 66