HAI KALAAM E ILAAHI MEIN
Hai kalaam-e-Ilaahi mein Shams o Duha tere chehra e noor e fiza ki qasam
Qasam e shabe taar mein raaz ye tha ke habeeb ki zulfe dota ki qasam
Tere khulq ko Haq ne azeem kaha Teri khalq ko Haq ne jameel kiya
Koi tujh sa huwa hai na hoga shaha tere Khaaliqe husn o ada ki qasam
Wo khuda ne hai martaba tujh ko diya na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e Majeed ne khaai shaha Tere shahr o kalaam o baqaa ki qasam
Tera masnade naaz hai arshe bareeñ Tera mehrame raaz hai roohe ameeñ
Tu hi sarware har do jahaañ hai shaha Tera misl nahiñ hai Khuda ki qasam
Yahi arz hai khaaliq e arz o samaa wo Rasool haiñ tere maiñ banda tera
Mujhe unke jawaar meiñ de wo jagaah ke hai khuld ko jis ki safaa ki qasam
Tu hi bandoñ pe karta hai lutf o ataa hai tujhi pe bharosa tujhi se dua
Mujhe Jalwa e paak Rasool dikha tujhe apne hi izz o ula ki qasam
Mere garche gunaah haiñ had se siwa magar un se ummeed hai tujh se Rajaa
Tu Rahim hai Unka karam hai gawaah wo karim haiñ teri ata ki qasam
Yahi kehti hai bulbule baage jinaañ ke RAZA ki tarah koi sehr bayaañ
Nahiñ hind meiñ waasif e Shaahe Huda mujhe shokhiye tab’ae RAZA ki qasam
Post Views: 8