FARISHTE JIS KE ZAAIR HAIÑ
Farishte Jis ke Zaair haiñ Madine meiñ wo Turbat hai
Ye wo Turbat hai jis ko Arsh e Aazam par fazeelat hai
Bhalaa dasht e Madina se chaman ko koi nisbat hai
Madine ki Faza rashk e Bahaar e Baag e Jannat hai
Madina Gar Salaamat hai to phir sab kuchh Salaamat hai
Khuda rakhe Madine ko isi ka dum Ganeemat hai
Madina aisa Gulshan hai jo har gulshan ki zeenat hai
Bahaar e Baag e Jannat bhi Madine ki badaulat hai
Madina chhord kar sair e jinaañ ki kya zuroorat hai
Ye Jannat se bhi behtar hai ye jeete ji ki jannat hai
Madina chhord kar Jannat ki khushboo mil nahiñ sakti
Madine se Mohabbat hai to Jannat ki zamaanat hai
Zameeñ par wo Mohammed ehaiñ wo Ahmed eAasmaanoñ meiñ
Yahaañ bhi un ka charcha hai Wahaañ bhi un ki midhat hai
Yahaañ bhi Un ki chalti hai wahaañ bhi Un ki chalti hai
Madina Rajdhaani hai do Aalam par hukoomat hai
Gazab hi kar diya AKHTAR Madine se chale aaye
Ye wo Jannat hai jis ki Arsh waaloñ ko bhi hasrat hai
Madina chhord kar AKHTAR bhalaa kyuñ jaayeñ jannat ko
Ye Jannat kya har ek ne’amat Madine ki badaulat hai
Post Views: 74