CHAL DIYE TUM AAÑKH MEIN LYRICS (Manqabat e Huoor Mufti e Aazam by Tajush Shariah)
Chal diye tum aañkh meiñ ashkoñ ka dariya chhord kar
Ranj e Furqat ka har ek seena meiñ shola chhord kar
Lazzat-e-mai le gaya wo jaam o meena chhord kar
Mera Saqi chal diya khud mai ko tishna chhord kar
Har jigar meiñ dard apna meetha meetha chhord kar
Chal diye wo dil meiñ apna naqsh e waala chhord kar
Aalam e baalaa meiñ har su marhaba ki goonj thi
Chal diye jab tum zamaane bhar ko soona chhord kar
Maut e aalim se bandhi hai maut e aalam be gumaañ
Roohe aalam chal diya aalam ko murda chhord kar
Muttaqi bankar dikhaaye is zamaane meiñ koi
Ek mere Mufti e Aazam ka taqwa chhord kar
Khwaab meiñ aakar dikhaao hum ko bhi aye jaañ kabhi
Kaun si duniya basaayi tum ne duniya chhord kar
Ek tum duniya meiñ rehkar taarik e duniya rahe
Reh ke duniya meiñ dikhaaye koi duniya chhord kar
Us ka aye shaahe zaman saara zamaana ho gaya
Jo tumhaara ho gaya saara zamaana chhord kar
Rehnumaaye Raahe Jannat hai tera naqshe qadam
Raahe jannat tay na hogi tera rasta chhord kar
Misl e gardooñ saaya e dast e karam hai aaj bhi
Kaun kehta hai gaye wo be sahaara chhord kar
Ho sakey to dekh AKHTAR baag e jannat meiñ usey
Wo gayaa taaroñ se aage aashiyaana chhord kar
Post Views: 257