BAYAAÑ HO KIS ZABAAÑ SE
Bayaañ ho kis zubaañ se martaba Siddeeq e Akbar ka
Hai yaar e gaar Mehboob e Khuda Siddeeq e Akbar ka
Ilahi reham farma khaadim e Siddique Akbar hooñ
Teri rehmat ke sadqe waasta Siddeeq e Akbar ka
Rusul aur Ambiya ke baad jo afzal ho aalam se
Ye aalam meiñ hai kis ka martaba Siddeeq e Akbar ka
Gadaa Siddeeq e Akbar ka Khuda se fazl paata hai
Khuda ke fazl se maiñ hooñ gadaa Siddeeq e Akbar ka
Nabi ka aur khuda ka madh go Siddeeq e Akbar hai
Nabi Siddeeq e Akbar ka Khuda Siddeeq e Akbar ka
Huwe Farooq o Usman o Ali jab daakhil e bai’at
Banaa fakhr e salaasil silsila Siddeeq e Akbar ka
Maqaam e Khwaab e raahat chain se aaram karne ko
Banaa pehlu e Mehboob e Khuda Siddeeq e Akbar ka
Ali haiñ us ke dushman aur wo dushman Ali ka hai
Jo dushman aql ka dushman huwa Siddeeq e Akbar ka
Lutaaya raahe haq meiñ ghar kayi baar is mohabbat se
Ke lut lut kar HASAN ghar ban gaya Siddeeq e Akbar ka
Post Views: 14