BAKHT E KHUFTA NE MUJHE
Bakht e khufta ne mujhe rauza pe jaane na diya
Chashm o dil seene kaleje se lagaane na diya
Aah qismat mujhe duniya ke gamoñ ne roka
Haaye taqdeer ke taiba mujhe jaane na diya
Paaoñ thak jaate agar paoñ banaata sar ko
Sar ke bal jaata magar zoaf ne jaane na diya
Sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai
Maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diya
Sajda karta jo mujhe is ki ijaazat hoti
Kya karooñ izn mujhe is ka khuda ne na diya
Sharbat e deed ne aur aag lagaadi dil meiñ
Tapish e dil ko badhaaya hai bujhaane na diya
Ab kahaañ jaayega naqsha tera mere dil se
Teh meiñ rakha hai ise dil ne gumaa ne na diya
Nafs e badkaar ne dil par ye qayaamat todi
Amal e nek kiya bhi to chhupaane na diya
Mere A’amaal ka badla to jahannam hi tha
Maiñ to jaata mujhe sarkaar ne jaane na diya
Mere A’amaal e siyaah ne kiya jeena dobhar
Zaher khaata tere irshaad ne khaane na diya
Aur chamakti si gazal koi padho aye NOORI
Rang apna abhi jamne Sho’ara ne na diya
Post Views: 11