BAAG JANNAT KE HAIÑ
Baag Jannat ke haiñ behre madh khwaane Ahle Bait
Tum ko muzda naar ka aye dushmanaane Ahle Bait
Kis zubaañ se ho bayaane izzo shaane Ahle Bait
Madh goye mustafa haiñ madhkhwaane Ahle Bait
Un ki paaki ka khudaaye paak karta hai bayaañ
Aaya-e-tatheer se zaahir hai shaan e Ahle Bait
Un ke ghar me bey ijaazat jibraeel aate nahiñ
Qadr waale jaante haiñ qadr o shaane Ahle Bait
Razm ka maidaañ banaa hai jalwah gaahe Husn o Ishq
Karbala meiñ ho raha hai imtehaan e Ahle Bait
Hooraiñ karti haiñ aroosane shahaadat ka singaar
Khubaru doolha banaa hai har jawaan e Ahle Bait
Kis shaqi ki hai hukumat haaye kya andher hai
Din dahaade lut raha hai kaarwaan e Ahle Bait
Khaak par Abbas o Usman e alambardaar haiñ
Bekasi ab kaun uthaayega nishaan e Ahle Bait
Faatma ke laadle ka aakhri deedaar hai
Hashr ka hangaama barpa hai myaan e Ahle Bait
Baag e jannat chhodkar aaye haiñ mehboob e khuda
Aye zahe qismat tumhari kushtagaan e Ahle Bait
Hureiñ be parda nikal aayi haiñ sar khole huwe
Aaj kaisa hashr hai barpa myaan e Ahle Bait
Ghar lutaana jaan dena koi tujh se seekh jaaye
Jaan e aalam ho fida aye khaandaan e Ahle Bait
Sar shaheedaan e mohabbat ke haiñ nezoñ par buland
Aur ooñchi ki khuda ne qadr o shaan e Ahle Bait
Zakhm khaane ko to aabe teg peene ko diya
Khoob daawat ki bulaakar dushmanaan e Ahle Bait
Apna sauda bech kar baazaar soona kar gaye
Kaunsi basti basaai taajiraan e Ahle Bait
Ahle Bait e paak se gustaakhiyaañ bebaakiyaañ
La’natullahi Alaikum dushmanaan e Ahle Bait
Be adab gustaakh firqe ko sunaade aye HASAN
Yuñ kaha karte haiñ Sunni daastaan e Ahle Bait
Post Views: 10