AYE SHAAFA E UMAM
Aye Shaafa e Umam shahe zee Jaah le khabar
Lillaah le khabar meri Lillaah le khabar
Dariya ka josh naav na beda na nakhuda
Maiñ Dooba, tu kahaañ hai mere shah le khabar
Pahuñche pahuñchne wale to manzil magar shaha
Un ki jo thak ke baithe sare raah le khabar
Wo sakhtiyaañ sawaal ki wo soorateiñ muheeb
Aye gamzadoñ ke haal se aagah le khabar
Mujrim ko baargahe Adalat meiñ laaye haiñ
Takta hai bekasi meiñ teri raah le khabar
Ahle amal ko un ke amal kaam aayenge
Mera hai kaun tere siwa aah le khabar
Baahar zubaneiñ pyaas se haiñ aaftab garm
Kausar ke Shah Kassaruhullaah le khabar
Maana ke sakht mujrim o naakaara hai RAZA
Tera hi to hai banda e dargaah le khabar
Post Views: 9