ASEEROÑ KE MUSHKIL KUSHA
GAUS E AAZAM
Aseeroñ ke mushkil kusha Gaus e Aazam
Faqeeroñ ke haajat rawaa Gaus e Aazam
Ghira hai balaaoñ meiñ bandaa tumhara
Madad ke liye aao Ya Gaus e Aazam
Tere haath meiñ haath maine diya hai
Tere haath hai laaj Ya Gaus e Aazam
Mureedoñ ko khatra nahiñ behre gam se
Ke bede ke haiñ naakhuda Gaus e Aazam
Tumheeñ dukh suno apne aafat zadoñ ka
Tumheeñ dard ki do dawaa Gaus e Aazam
Bhañwar meiñ phañsa hai hamaara safeena
Bachaa Gaus e Aazam bachaa Gaus e Aazam
Jo dukh bhar rahaa hooñ jo gam seh rahaa hooñ
Kahooñ kis se tere siwa Gaus e Aazam
Zamaane ke dukh dard ki ranj o gam ki
Tere haath meiñ hai dawaa Gaus e Aazam
Agar sultanat ki hawas ho faqeeroñ
Kaho “shai al lillaah” Ya Gaus e Aazam
Nikaala hai pehle to doobe huwoñ ko
Aur ab doobtoñ ko bachaa Gaus e Aazam
Jise khalq kehti hai pyaara Khuda ka
Usi ka hai tu laadlaa Gaus e Aazam
Phañsa hai tabaahi meiñ beda hamaara
Sahaara lagaa do zaraa Gaus e Aazam
Mashaaikh jahaañ aaye behr e gadaai
Wo hai teri daulat saraa Gaus e Aazam
Meri mushkiloñ ko bhi aasaan kijiye
Ke haiñ aap mushkil kusha Gaus e Aazam
Wahaañ sar jhukaate haiñ sab uñche uñche
Jahaañ hai tera naqsh e paa Gaus e Aazam
Qasam hai ke mushkil ko mushkil na paaya
Kaha hum ne jis waqt Ya Gaus e Aazam
Mujhe apni ulfat meiñ aisaa guma de
Na paooñ phir apna pataa Gaus e Aazam
Bachaale gulaamoñ ko majbooriyoñ se
Ke tu Abd e Qaadir hai Ya Gaus e Aazam
Kahe kis se jaakar HASAN apne dil ki
Suney kaun tere siwaa Gaus e Aazam
Post Views: 18