Date: Sat 5 Sep 2026 /

5-Sep-2026 24-Rabi'al Awwal-1448

ARSH KI AQL DANG HAI Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

ARSH KI AQL DANG HAI

 

Arsh ki aql dang hai charkh meiñ aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai

 

Bazm e sana e zulf meiñ meri uroos e fikr ko
Saari bahaare hasht khuld chhota sa itr daan hai

 

Arsh pe jaake murg e aql thak ke gira gash aagaya
Aur abhi manziloñ par-e pehla hi aastaan hai

 

Arsh pe taaza chhed chhaad farsh pe turfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaaiye teri hi daastaan hai

 

Ek tere rukh ki raushni chain hai do jahaan ki
Ins ka uns usi se hai jaan ki wo hi jaan hai

 

Wo jo na the to kuchh na tha wo jo na hoñ to kuchh na ho
Jaan haiñ wo jahaan ki jaan hai to jahaan hai

 

Goad meiñ aalame shabaab haale shabaab kuchh na poochh
Gulbane baag e noor ki aur hi kuchh Uthaan hai

 

Tujh sa siyaah kaar kaun un sa Shafee’ hai kahaañ
Phir wo tujhi ko bhool jaayeiñ dil ye tera gumaan hai

 

Pesh e nazar wo nav bahaar sajde ko dil hai be qaraar
Rokiye sar ko rokiye haañ yahi imtehaan hai

 

Shaan e khuda na saath de un ke khiraam ka wo baaz
Sidrah se ta zameeñ jise narm si ek udaan hai

 

Baare jalaal Utha liya gar che kaleja shaq huwa
Yuñ to ye maahe sabz rang nazroñ meiñ dhaan paan hai

 

Khauf na rakh RAZA zara tu to hai Abd e Mustafa
Tere liye amaan hai tere liye amaan hai

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.