APNE RINDOÑ KI ZIYAAFAT KIJIYE
Apne rindoñ ki ziyaafat Kijiye
Jaam e Nazzara Inaayat Kijiye
Saqi e Kausar duhaai Aap ki
Sokhta jaanoñ pe Rehmat kijiye
Dijiye meri Mohabbat ko hawaa
Is taraf Chashm e Mohabbat Kijiye
Qaid e gam meiñ khush rahooñ maiñ umr bhar
Yuñ Giraftaar e Mohabbat kijiye
Khud ko bhooluñ aap ki ulfat meiñ maiñ
Mujh ko yuñ madhosh e ulfat kijiye
Kijiye apna mahez apna mujhe
Qat’a meri sab se nisbat kijiye
Daf’a ho Taiba se ye najdi balaa
Ya Rasoolallaah e Ujlat Kijiye
Maang lijey Khaak e Taiba meiñ jagah
Khaak meiñ Saamaan e Ishrat Kijiye
Un pe marna hai dawaam e Zindagi
Maut se phir kyuñ na ulfat Kijiye
Un pe mar jaane ki Rakhiye Aarzu
Yuñ Sadaa Jeene ki Soorat Kijiye
Zulmatoñ meiñ Roshni ke Waaste
Daag e Seena ki Hifaazat Kijiye
Tez Keejey seena e najdi ki aag
Zikr e Aayat e Walaadat Kijiye
Intezaar e Jaan e Jaañ hai Jaan ko
Ya Rasoolallaah eki kasrat Kijiye
Gaus e Aazam aap se fariyad hai
Dastageeri Mere Hazrat Kijiye
Rehlat-e-AKHTAR ka Hangaam aagaya
Saaya e Rehmat meiñ Rukhsat Kijiye
Post Views: 44