APNE DAR PE JO BULAAO TO
BAHUT ACHCHHA HO
Apne dar pe jo bulaao to bahut achchha ho
Meri bigdi jo banaao to bahut achchha ho
Qaid e shaitaañ se chhurdaao to bahut achchha ho
Mujh ko apna jo banaao to bahut achchha ho
Gardish e daur ne paamaal kiya mujh ko Huzoor
Apne qadmoñ meiñ sulaao to bahut achchha ho
Yuñ to kehlaata hooñ banda maiñ tumhaara lekin
Apna keh ke jo bulaao to bahut achchha ho
Tum to murdoñ ko jilaa dete ho mere Aaqa
Mere dil ko bhi jilaao to bahut achchha ho
Jis ne sharminda kiya mehr o maho anjum ko
Ek jhalak phir wo dikhaao to bahut achchha ho
Ro chuka yuñ to maiñ auroñ ke liye khoob magar
Apni ulfat meiñ rulaao to bahut achchha ho
Yuñ na AKHTAR ko phiraao mere Maula dar dar
Apni chaukhat pe bithaao to bahut achchha ho
Post Views: 64