AAÑKHOÑ KA TAARA
NAAM-E-MUHAMMAD
Aañkhoñ ka taara Naam-e-Muhammad
Dil ka ujaala Naam-e-Muhammad
Allaahu Akbar Rabbul Ulaa ne
Har shay pe likha Naam-e-Muhammad
Daulat jo chaaho donoñ jahaañ ki
Kar lo wazeefa Naam-e-Muhammad
Paayeiñ muraadeiñ donoñ jahaañ meiñ
Jis ne pukaara Naam-e-Muhammad
Rakho lahed meiñ jis dum azeezo
Mujh ko sunaana Naam-e-Muhammad
Padhti duroodeiñ daudeiñgi hooreiñ
Laasha jo lega Naam-e-Muhammad
Roz e Qiyaamat meezaan o pul par
Dega Sahaara Naam-e-Muhammad
Poochhega Maula laaya hai kya kya
Maiñ ye kahoonga Naam-e-Muhammad
Gam ki ghataayeiñ chhaai haiñ sar par
Kar de Ishaara Naam-e-Muhammad
Ranj o alam meiñ haiñ naam lewa
Kar de Ishaara Naam-e-Muhammad
Bedaa tabaahi meiñ aa gaya hai
De de sahaara Naam-e-Muhammad
Zakhmi jigar par majrooh dil par
Marham lagaa jaa Naam-e-Muhammad
Dil meiñ adaawat khar ke bhari hai
Najdi na lega Naam-e-Muhammad
Apne RAZA ke Qurbaan jaaooñ
Jis ne sikhaaya Naam-e-Muhammad
Aañkhoñ meiñ aakar dil meiñ samaakar
Rangat rachaa jaa Naam-e-Muhammad
Apne JAMEEL E RAZVI ke dil meiñ
Aaja samaa jaa Naam-e-Muhammad
Post Views: 11