Date: Mon 7 Sep 2026 /

7-Sep-2026 26-Rabi'al Awwal-1448

JAAN O DIL SE TUM PE MERI JAAN QURBAAÑ GAUS E PAAK Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

JAAN O DIL SE TUM PE MERI JAAN
QURBAAÑ GAUS E PAAK

 

Jaan o dil se tum pe meri jaan Qurbaañ Gaus e Paak
Hai Salaamat tum se mera deeno Imaañ Gaus e Paak

 

Maiñ tera adna bhikaari tu mera sultaan hai
Hai qasam Haq ki ye mera deeno Imaañ Gaus e Paak

 

Aap ki chashme karam ka ek ishaara ho agar
Do jahaañ ki mushkileiñ ho jaayeiñ aasaañ Gaus e Paak

 

Aap ka Naam-e-Muqaddas mere dil par naqsh hai
Meri Bakhshish ke liye kaafi hai saamaañ Gaus e Paak

 

Meri aankheiñ tera gumbad teri chaukhat mera sar
Mera laasha aur ho tera biyabaañ Gaus e Paak

 

Bheja tuney hi Moinuddin Chishti ko yahaañ
Hind meiñ tere sabab se haiñ Musalmaañ Gaus e Paak

 

Lut raha hai qaafila Baghdaad waale le khabar
Al madad Mehboob e Subhaañ Shaahe Jeelaañ Gaus e Paak

 

Hai kidhar aa dekh to bandoñ ki kya haalat huwi
Aye mere Baghdaad waale Shaahe Jeelaañ Gaus e Paak

 

Zaalimoñ ne zulm se bandoñ ko kar daala halaak
Al madad Baghdaad waale Shaahe Jeelaañ Gaus e Paak

 

Laaj waale Sunniyoñ ki laaj tere haath hai
Qaadiri Manzil ke doolha Shaahe Jeelaañ Gaus e Paak

 

Ho Raza par lutf tera hum par un ka lutf ho
Un ka daamaañ hum pe un par tera daamaañ Gaus e Paak

 

Kijiye Imdaad, Izzat do jahaañ ki dijiye
Hai JAMEEL E QAADRI adna sanaa khwaañ Gaus e Paak

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.