AHMED MUKHTAAR AATE HAIÑ
Ye wo mehfil hai jis meiñ Ahmed e Mukhtaar aate haiñ
Malaaik leke rehmat ke yahaañ anwaar aate haiñ
Ziyaarat ke liye ban kar malak zawwaar aate haiñ
Nabi ko dekhne yaañ Taalib e deedaar aate haiñ
Gulaamaane Shahe deeñ bazm meiñ yuñ aate haiñ jaise
Bhikaari bheek lene barsare darbaar aate haiñ
Munaafiq jaante haiñ shirk gar is bazme aqdas ko
To khud kyuñ shirk karne ke liye makkaar aate haiñ
Mukhaalif be adab is zikr ki rif’at ko kya samjhe
Yahaañ par sar ke bal ahle sunan deendaar aate haiñ
Ye un ke sabz gumbad par bakhatt-e-noor likha hai
Wo achchhe ho ke jaate haiñ jo yaañ beemaar aate haiñ
Uthega shor mehshar meiñ na ghabraao gunahgaaro!
Wo dekho Shaah khole gesu e khamdaar aate haiñ
Kharideinge jo rehmat ke ewaz ambaar isyaañ ke
Kharidaare gunaah ab barsare baazaar aate haiñ
Jo kehte haiñ museebat meiñ “Agisni Ya Rasoolallaah”
Madad karne ko un ki Sayyid e Abraar aate haiñ
Khudaawanda Dumey Aakhir ye Izraail farmaayeiñ
JAMEEL E QAADRI hoshyaar ho Sarkaar aate haiñ
Post Views: 9