TUMHIÑ NE TO KIYA HUM KO MUSALMAAÑ
Tumhiñ ne to kiya hum ko musalmaañ Ya Rasoolallaah
Tumhiñ to ho hamaara deen o Imaañ Ya Rasoolallaah
Na bhoole aur na bhoologe qiyaamat tak gulaamoñ ko
Na kyuñ hoñ ahlesunnat tum pe qurbaañ Ya Rasoolallaah
Liwa ul hamd ke neeche bane Maula qiyaamat meiñ
Mera har raungta tera sana khwaañ Ya Rasoolallaah
Tere husn o Malaahat par do aalam kyuñ na hoñ Qurbaañ
Khuda e Paak hai jab tera khwaahaañ Ya Rasoolallaah
Makaano la makaañ hoor o malak arsh o falak kursi
Tumhaare hi liye ye sab haiñ saamaañ Ya Rasoolallaah
Salaateen e zamaana aastaañ par sar ragarte haiñ
Tumhaari khaak e dar hai Taaj e Shaahaañ Ya Rasoolallaah
Maiñ ek adna bhikaari Aap Sultaane zamaana haiñ
Sulemaañ Aap maiñ mor e Sulemaañ Ya Rasoolallaah
Banaaya hai Khuda ne dono Aalam ka tujhe Haakim
Saroñ par lete haiñ sab tera farmaañ Ya Rasoolallaah
Khuda ke baad afzal jaan-na tum ko do Aalam se
Yahi to hai hamaara deen o Imaañ Ya Rasoolallaah
Gulaamoñ ki har ek mushkil meiñ tum imdaad karte ho
Meri bhi mushkileiñ ho jaayeiñ aasaañ Ya Rasoolallaah
JAMEEL E QAADRI ki do jahaañ meiñ laaj rakh lena
Tufail e Hazrat e Ahmed Raza Khaañ Ya Rasoolallaah
Post Views: 10