GAM HO GAYE BESHUMAAR AAQA
Gam ho gaye beshumaar Aaqa
Banda tere nisaar Aaqa
Bigda jaata hai khel mera
Aaqa Aaqa sañwaar Aaqa
Mañjdhaar pe aake naav doobi
de haath ke hooñ maiñ paar Aaqa
Tooti jaati hai peeth meri
Lillah ye bojh utaar Aaqa
Halka hai agar hamara palla
Bhaari hai tera waqaar Aaqa
Mujhsa koi gamzada na hoga
Tum sa nahi gamgusaar Aaqa
Tum woh ke karam ko naaz tumse
Maiñ woh ke badee ko aar Aaqa
Jiski marzi Khuda na taale
Mera hai wo naamdaar Aaqa
Itni Rehmat RAZA pe kar lo
La Yaqrubuhul Bawaar Aaqa
Post Views: 10