Date: Mon 7 Sep 2026 /

7-Sep-2026 26-Rabi'al Awwal-1448

LUTF UN KA AAM HO HI JAYEGA Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

LUTF UN KA AAM HO HI JAYEGA

 

Lutf un ka Aam ho hi jayega
Shaad har naakaam ho hi jayega

 

Jaan dedo waada e deedar par
Naqd apna daam ho hi jayega

 

Be nishaanoñ ka Nishaañ mit-ta nahiñ
Mit-te mit-te naam ho hi jayega

 

Yaade gesoo zikr e Haq hai aah kar
Dil meiñ paida laam ho hi jayega

 

Ek din aawaz badleinge ye Saaz
Cheh-chaha Kohraam ho hi jayega

 

Saailo daaman sakhi ka thaam lo
Kuchh na kuchh In’aam ho hi jayega

 

Yaad e abru karke tadpo Bulbulo!
Tukde tukde daam ho hi jayega

 

Mufliso! un ki gali meiñ ja pado
Baag e Khuld ikraam ho hi jayega

 

Gam to unko bhulkar lipta hai yuñ
Jaise apna kaam ho hi jayega

 

Aaqilo! unki nazar seedhi rahe
Bouroñ ka bhi kaam ho hi jayega

 

Ab to laai hai shafa’at afwa par
Badhte badhte aam ho hi jayega

 

Aye RAZA har kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi aaram ho hi jayega

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.