HAAJIYO! AAO SHAHANSHAAH
KA RAUZA DEKHO
Haajiyo! aao Shahanshaah ka rauza dekho
Kaa’ba to dekh chuke kaa’be ka kaa’ba dekho
Rukne shaami se miti wahshat e shaam e gurbat
Ab Madina ko chalo sub-he dilaara dekho
Aab e zam zam to piya khoob bujhaayiñ pyaseiñ
Aao joode shah e kausar ka bhi dariya dekho
Zer e meezaab miley khoob karam ke chheeñte
Abre rehmat ka yahaañ zor barasna dekho
Dhoom dekhi hai dar e ka’aba pe betaaboñ ki
Un ke mushtaaqoñ meiñ hasrat ka tadapna dekho
Misl e parwana phira karte the jis sham’a ke gird
Apni us sham’a ko parwana yahaañ ka dekho
Khoob aañkhoñ se lagaya hai gilaf e ka’aba
Qasr e mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho
Waañ muteeoñ ka jigar khauf se pani paaya
Yaañ siyaahkaaroñ ka daaman pe machalna dekho
Mehr e maadar ka mazaa deti hai aagosh e hateem
Jin pe maa baap fida yaañ karam un ka dekho
Dho chuka zulmat e dil bosa e sang e aswad
Khaak bosi e Madina ka bhi rutba dekho
Jum’a e Makka tha Eid ehle ibadat ke liye
Mujrimo! Aao yahaañ Eid e doshamba dekho
Gaur se sun to RAZA Ka’aba se aati hai sadaa
Meri aañkhoñ se mere pyaare ka rauza dekho
Post Views: 6