SAB SE AULA WA AALA HAMARA NABI
Sab se Aula wa Aala hamara Nabi
Sab se Baala wa Wala hamara Nabi
Apne maula ka pyara hamara Nabi
Donoñ aalam ka doolha hamara Nabi
Bazm e aakhir ka sham’a farozaañ huwa
Noor-e-awwal ka jalwa hamara Nabi
Jis ko shaayaañ hai arsh e khuda par juloos
Hai wo sultane wala hamara Nabi
Bujh gayiñ jis ke aage sabhi mash’aleiñ
Sham’a wo lekar aaya hamara Nabi
Jis ke talwoñ ka dhowan hai aab e hayaat
Hai wo jaane maseeha hamara Nabi
Khalq se Auliya, Auliya se Rusul
Aur Rasooloñ se Aala hamara Nabi
Husn khaata hai jis ke namak ki qasam
Wo maleeh e dil aara hamara Nabi
Jis ki do boond hai kausar o salsabeel
Hai wo rehmat ka dariya hamara Nabi
Jaise sab ka Khuda ek hai waise hi
Inka unka tumhara hamara Nabi
Qarnoñ badli Rasooloñ ki hoti rahi
Chand badli ka nikla hamara Nabi
Kaun deta hai deneko muñh chahiye
Dene wala hai sachcha hamara nabi
Kya khabar kitne tare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara nabi
Mulk-e-kaunain meiñ Ambiya taajdaar
Taajdaaroñ ka Aaqa hamara Nabi
La makaañ tak ujaala hai jis ka wo hai
Har makaañ ka ujaala hamara Nabi
Saare achchhoñ meiñ achchha samjhiye jise
Hai us achchhe se achchha hamara Nabi
Sare Ooñchoñ meiñ Ooñcha samajhiye jise
Hai us Ooñche se Ooñcha hamara Nabi
Ambiya se karooñ arz kyuñ maaliko!
Kya Nabi hai tumhara hamara Nabi
Jis ne tukde kiye haiñ qamar ke wo hai
Noor e wahdat ka tukda hamara Nabi
Sab chamak wale ujloñ meiñ chamka kiye
Andhe Sheeshoñ meiñ chamka hamara Nabi
Jis ne murda diloñ ko di umr e abad
Hai wo jaan e maseeha hamara Nabi
Gamzadoñ ko RAZA muzda dije ke hai
Bekasoñ ka sahara hamara Nabi
Post Views: 8