CHAMAK TUJH SE PAATE HAIN
Chamak tujh se paate haiñ sab paane wale
Mera dil bhi chamka de chamkaane wale
Barasta nahiñ dekh kar abr-e-rehmat
Badoñ par bhi barsa de barsaane wale
Madine ke khitte khuda tujh ko rakhe
Gariboñ faqiroñ ke thehraane wale
Tu zinda hai wallaah tu zinda hai wallaah
Mere chashm e aalam se chhup jaane wale
Maiñ mujrim hooñ aaqa mujhe saath le lo
Ke raste meiñ haiñ ja bajaa thaane wale
Haram ki zameeñ aur qadam rakh ke chalna
Arey sar ka mauqa hai o jane wale
Tera khaayeiñ tere gulaamoñ se uljheiñ
Haiñ munkir ajab khaane gurraane wale
Rahega yuñhi un ka charcha rahega
Pade khaak ho jaayeiñ jal jaane wale
Ab aayi shafa’at ki saa’at ab aayi
Zara chain le mere ghabraane wale
RAZA nafs dushman hai dum meiñ na aana
Kahaañ tum ne dekhe haiñ chandraane wale
Post Views: 12